Roman script

kangna pehna de sajan pehna de sajan tere naam ka
warna mera ye jovan kis kaam ka
yahi sapna tha huzur o 
yahi sapna tha huzur is gulam ka
main to hu kabse diwana tere naam ka
o kangna pehna de 
kaisa jadu kiya tune mujhpe piya 
mera jane kyun reh reh ke dhadke jiya
teri bindiya ne mujhko pagal kiya 
mera dil le gaya gori jhumka tera 
jhumka banwa de sajan o jhumka 
banwa de sajan tere naam ka 
warna mera ye jovan kis kaam ka
yahi sapna tha huzur o yahi  
sapna tha huzur is gulaam ka
main to hu kabse diwana tere naam ka
zindagi mein kiya maine shamil tujhe 
bha gaya apna ye kaatil mujhe
tune nazaron hi nazaron mein jhatka hai dil 
teri ungli ke challe mein atka hai dil 
challa mangwa de sajan o challa 
mangwa de sajan tere naam ka 
warna mera ye jovan kis kaam ka
yahi sapna tha huzur o yahi 
sapna tha huzur is gulaam ka
main to hu kabse diwana tere naam ka
kaam mushkil tha teri nazar kar gayi 
mujhpe teri mohabbat asar kar gayi 
teri ankhon mein chaya hai kazra tera 
mujhe mehka gaya gori gazra tera 
gazra dilwa de sajan re gazra 
dilwa de sajan tere naam ka 
warna mera ye jovan kis kaam ka
yahi sapna tha huzur o yahi 
sapna tha huzur is gulaam ka
main to hu kabse diwana tere naam ka
o kangna pehna dena

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Alka Yagnik, Kumar Sanu