Roman script

kal raat usne kal raat usne

sapne mein mujhko chheda, kal raat usne

kabhi iss karwat, kabhi uss karwat

deewaana raha kabhi tan se lipat kabhi mann se lipat haan

haan kal raat usne sapne mein mujhko chheda, kal raat usne

bada deewaana hai woh toh prem ke raag sunaaye

bada deewaana hai woh toh prem ke raag sunaaye

mori gori chunar, mohe lagata hai darr kahin maili na ho jaaye

mohe paas bulaaye, main na jaau khud aaye

use laaj na aaye mohe ang lagaaye, phir saare dip bujhaaye

darke boli o hamjoli kal ka waada bilkul pakka

woh muskuraata raha, kabhi aise palat kabhi waise palat

deewaana raha kabhi tan se lipat kabhi mann se lipat haan

haan kal raat usne sapne mein mujhko chheda, kal raat usne

bada natkhat hai woh ban gaya re krishn kanhaayi

bada natkhat hai woh ban gaya re krishn kanhaayi

main jamuna mein nahaane gayi aur usne chaal chalaayi

meri saari churaayi, meri angiya churaayi

main baiyaan padi, maine binati kari, nahi maana re raam duhai

bola radha sangam hoga, main kya kehti waada jo tha

main sharmaati rahi, kabhi aise simat, kabhi waise simat

deewaana raha kabhi tan se lipat kabhi mann se lipat haan

haan kal raat usne sapne mein mujhko chheda, kal raat usne

Explore this song