Roman script

kal ki tarah tum phir se kahogi chalti hoon

kal ki tarah phir haule se yun muskura dogi tum

kal ki tarah main bhi jaate huye tumhe dekhunga

kal ki tarah main phir yahi sochunga

kya main hi hoon wo khusi

kya main hi hoon wo hansi

jo tumko aajmaati hai, milte hi khoti jaati hai

kal milte hi tumse puchhunga

kal ki tarah maine phir wo nahi kaha tumse

laut gayi wo baat jubaan pe aakar phir se

kab tak yun hi main dil ki dil mein rakhungi

tumse nahi to khud se hi keh dungi

haam tum hi ho wo khushi

haan tum hi ho wo hansi

jo mujhko chhune aati hai 

khud mein hi phir simat jaati hai

kya main hi hoon wo khushi

kya main hi hoon wo hansi

jo mujhko aajmaati hai, milte hi khoti jaati hai

kal milte hi shayad keh dungi

Explore this song