Roman script

kal jisne janam yaha paya, kal jisko jhule ne jhulaya 

kal jisne janam yaha paya, kal jisko jhule ne jhulaya 

najadik sulaya godi me uthaya, kandhe pe ghumaya 

jise chalna sikhaya

kya ye wohi ladka hai, kya ye wohi ladka hai

kya ye wohi ladka hai, kya ye wohi ladka hai 

kal tak jo nanhi si lali thi, komal si juhi ki kali thi

kal tak jo nanhi si lali thi, komal si juhi ki kali thi  

wo totli boli are kitni bhali thi

wo jiske sima bas ghar se gali thi

kya ye wohi ladki hai, kya ye wohi ladki hai 

kya ye wohi ladki hai, kya ye wohi ladki hai 

prep se lekar primary tak, primary se phir dasvi tak

school me choda school se laya, barso maine ye niyam nibhaya

is ghar me bholu jo kehlata tha

teacher se bhi jo sharmata tha

dekh aapki ladki ko, dil jiska dhadka hai

jiske jawaa sine me, aaj ek shola bhadka hai

kya ye wohi chhutka hai, kya ye wohi ladka hai

haa ye wohi chhutka hai, haa ye wohi ladka hai

titliyo ke piche jo dauda karti thi

pariyo ke chitro me rang bharti thi

kab ye kali se phool ban gayi, prem si jodi prem ki dori

kab main budha hua na jana, jane kab ye ho gayi kishori

gudiyo ki shaadi kal jisne rachayi

hone waali hai kal jiski bidaayi

milke jise mere shehjade ki, tabiyat fadki hai

milke jise chote saahab ki, tabiyat fadki hai

kya ye wohi ladki hai, kya ye wohi ladki hai 

haa ye wohi ladki hai, bahu aapke ghar ki hai

chuna ek duje ko tumne lakho me karodo me

joda amar ho tumhara pyaar bhare jodo me

mausam aaye mausam jaaye, tumhara jeevan aur sajaye

samay ki dhara me hum to beh jayenge

humare bol tumhare sang reh jayenge

woh maryadaye woh paramparaye

jo humne nibhayi, woh ye bhi nibhaye 

bas yahi kehna hai, bas yahi kehna hai

bas yahi kehna hai, bas yahi kehna hai

Explore this song