Roman script

kaise kutil vidhan tumhara arey kathor vidhata 

aankh band karke soye laal aur jaage abhagan mata 

aankh band karke soye laal aur jaage abhagan mata 

jin putro ke aankho se hum agni prah the paate 

aaj unhi putro ki maat pita ham chita jalaate 

aasmaan aasmaan tu neche dekh kar kyo nahi re fat jata 

aankh band karke soye laal aur jaage abhagan mata 

jaage abhagan mata 

kabhi na sheetal hone paayi jabri ki ye jwala 

abhi nahi murjhane paayi phulo ki varmala 

haye phulo ki varmala 

abhi chudiaan khanak rahi thi hatho me matwale 

abhi sukhne bhi na payi na ye sindoor ki laali 

vidhata sindoor ki ye laali  

nav vadhu ke nav suhag par tune teer chalaya 

maehndi ki laali ko nirday tune khoon banaya

haye tune khoon banaya

hey jagdambe hey jagdambe kisne toda jo atut tha nata

aankh band karke soye laal aur jaage abhagan mata 

aankh band karke soye laal aur jaage abhagan mata

Explore this song