Roman script

kehte hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara

dekhe use ye duniya, mujhko nahin gawara

nazrein jo tum uthaao, har chiz muskuraye

palkein jo tum jhukaao, taaron ko nind aaye

duniya bhi saath dole, dhadke jo dil tumhaara

kehte hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara

ek baat tumse puchhu, tum kaun ho hamaare

dil mein samaa rahe ho, hum kaun hain tumhaare

kar do na muskuraake, halka saa ik ishaara

kehthe hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara

saathi agar hasin ho, kya baat phir safar ki

manzil udhar ko aayi, tumne jidhar nazar ki

dil jab bhi dagmagaya, tum ban gaye sahara

kehte hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara

kehte hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara

dekhe use ye duniya, mujhko nahin gawara

mujhko nahin gawara

Explore this song