Roman script

kahi to kahi to hogi wo dunia jaha tu mere sath hai

jaha mai jaha tu aur jaha bas tere mere jajbat hai

hoti jaha subah teri palko ki kirno me

lori jahan chand ki sune teri baho me

jane na kaha wo dunia hai 

jane na wo hai bhi ya nahi

jaha meri zindagi mujhse itni khafa nahi

jane na kaha wo dunia hai 

jane na wo hai bhi ya nahi

jaha meri zindagi mujhse itni khafa nahi

sanse kho gayi hai kiski aaho me

mai kho gayi hu jane kiski baho me

manzilo se rahe dhundti chali

aur kho gayi hai manzil kahi raho me

kahi to kahi to hai nasha 

teri meri har mulakat me

mulakat me

hotho se hotho ko chumti 

rahte hum har bat pe

kahti hai fiza jaha teri jami aasma

jaha hai tu meri hasi meri khushi meri jaa

jane na kaha wo dunia hai 

jane na wo hai bhi ya nahi

jaha meri zindagi mujhse itni khafa nahi

jane na kaha wo dunia hai

jane na wo hai bhi ya nahi

jaha meri zindagi mujhse itni khafa nahi

jane na kaha wo dunia hai

jane na wo hai bhi ya nahi

jaha meri zindagi mujhse itni khafa nahi

Explore this song