Roman script

kahin taare kahin shabanam kahin jugnu nikale

saare manzar teri aawaaz ke jaadu nikaale

zindagi hum jiye auro ki kushi ki khaatir

bheed mein hans diye tanhaayi mein aansu nikaale

tere hontho pe chamak utthe mera naam kabhi

aur meri gazalo ke parado se kabhi tu nikaale

jab bhi yaad aa gaya woh saanwala chehara

aankhon mein phool khile saanso se kushbu nikaale

Explore this song