Roman script

kabhi sochta hu ki mai kuch kahu

kabhi sochta hu ki mai chup rahu

aadami jo kahta hai, aadami jo sunta hai

zindagi bhar vo sadaye pichha karti hai

aadami jo kahta hai, aadami jo sunta hai

zindagi bhar vo sadaye pichha karti hai

aadami jo deta hai, aadami jo leta hai

zindagi me vo duaye pichha karti hai

koi bhi ho har khawab to acha nahi hota

bahut jyada pyar bhi acha nahi hota hai

kabhi daman chhudana ho to mushkil ho

pyar ke rishte tute to, pyar ke raste chhute to

zindagi bhar phir vafaaye pichha karti hai 

aadami jo kahta hai, aadami jo sunta hai 

zindagi bhar vo sadaye pichha karti hai

kabhi kabhi man dhup ke karan tarasta hai

kabhi kabhi man dhup ke karan tarasta hai

kabhi kabhi phir jhum ke sawan barasta hai

palak jhapake yaha mosam badal jaye

pyas kabhi mitti nahi, ek bund bhi milti nahi

aur kabhi rim jhim ghataaye pichha karti hai   

aadami jo kahta hai, aadami jo sunta hai 

zindagi bhar vo sadaye pichha karti hai

aadami jo deta hai, aadami jo leta hai

zindagi me vo duaye pichha karti hai

Explore this song