Roman script

kabhi meharbani kabhi badgumani

sitam hai tumhe dil lagana na aaya

mohabbat se daman bachate huye tum

mohabbat se daman bachana na aaya

kabhi meharbani 

hume kyu abhi se juda kar rahe ho

bade sangdil ho ye kya kar rahe ho

hume kyu abhi se juda kar rahe ho

bade sangdil ho ye kya kar rahe ho

jara ye to socho ki hum kya karenge

ja phir yaad kar yu zamana na aaya

kabhi meharbani kabhi badgumani

sitam hai tumhe dil lagana na aaya

kabhi meharbani 

najar bhar ke dekha na ji bhar ke chaha

abhi tak tumhe humne dar dar ke chaha

najar bhar ke dekha na ji bhar ke chaha

abhi tak tumhe humne dar dar ke chaha

koi baat khulke na kah paye tumse

kabhi lab pe dil ka fasana na aaya

kabhi meharbani kabhi badgumani

sitam hai tumhe dil lagana na aaya

kabhi meharbani 

tumhe chhodkar hum nahi jane wale

bade aaye dil leke tadapane wale

tumhe chhodkar hum nahi jane wale

bade aaye dil leke tadapane wale

ye sach hai ke tumne kai rang badle

magar kaam koi bahana na aaya

kabhi meharbani kabhi badgumani

sitam hai tumhe dil lagana na aaya

mohabbat se daman bachate huye tum

mohabbat se daman bachana na aaya

kabhi meharbani

Explore this song