Roman script

kabhi kaha na kisi se tere fasaane ko

na jaane kaise khabar ho gayi zamane ko

kabhi kaha na kisi se tere fasaane ko

na jaane kaise khabar ho gayi zamane ko

kabhi kaha na kisi se

dua bahar ki maangi to itne phul khile

dua bahar ki maangi to itne phul khile

kahin jagah na rahi mere aashiyane ko

na jaane kaise khabar ho gayi zamane ko

kabhi kaha na kisi se

ab aage isme tumhara bhi naam aayega

ab aage isme tumhara bhi naam aayega

jo hukum ho to yahin chhod du fasane ko

na jaane kaise khabar ho gayi zamane ko

kabhi kaha na kisi se

kamar zara bhi nahin tumko khauf ae ruswayi

kamar zara bhi nahin tumko khauf ae ruswayi

chale ho chandani shab mein unhein bulane

na jaane kaise khabar ho gayi zamane ko

kabhi kaha na kisi se tere fasaane ko

na jaane kaise khabar ho gayi zamane ko

kabhi kaha na kisi se

Explore this song