Roman script

waqt ke chakrvyuh mein panpata hain kal 

kal ek kalpana aaj bhi ye pal 

ek ahsaas hum sirf ahsaas 

kate na kate ratiyan muaa 

kab uglega chand aag

kate na kate ratiyan mua 

kab uglega chand aag

andhero ka banakar bichhona 

andhero ka banakar bichhona 

odhkar karwato ki chadar 

chubhati suiyon se khwaab piraoh 

chubhati suiyon se khwaab 

piraoh har pal gujre hain jaise sadi 

gahre aate jave ye daag o bairi 

kate na kate ratiyan muaa 

kab uglega chand aag

ankhiyon se utarte aansu utarte nahi 

ankhiyon se utarte aansu utarte nahi

khali ho gayi sabr ki gagri 

raat raat bhar jiyara parosu 

raat raat bhar jiyara parosu 

dhundhale hote jaye sitare 

bujhte jave sare chirag o bairi 

kate na kate ratiyan muaa 

kab uglega chand aag

chand batore hain gin gin kar 

chand batore hain gin gin kar 

bhar gayi rain se lipati gathari 

ab to bojh ye dho na saku main 

ab to bojh ye dho na saku 

main mujhko balam aur na tarsa 

biti raaten jaag jaag o bairi 

kate na kate ratiyan muaa 

kab uglega chand aag

Explore this song