Roman script

julm bhayo mope kal raat mori maiya 

julm bhayo mope kal raat mori maiya 

khuli thi haaye khidaki khula tha darwaaja 

phir bhi na aaya wo mere dil ka raaja 

suni suni rah gayi haaye raat mori dayya

julm bhayo, julm bhayo mope kal raat mori maiya 

julm bhayo mope kal raat mori maiya  

jaane kab aayega raaja jaani 

jaane kab aayega raaja jaani 

utari jaati hai chadhati jawaani 

mil jaaye koi aisa chhaila 

mil jaaye koi aisa chhaila 

thaame to phir chhode nahi mori kalaiya

julm bhayo, julm bhayo mope kal raat mori maiya 

julm bhayo mope kal raat mori maiya  

pi ki lagan mohe aisi laagi 

pi ki lagan mohe aisi laagi 

har aahat pe mai uth jaagi 

jhanka jo maine saiya nahi tha 

jhanka jo maine saiya nahi tha 

pahara dene nikala tha wo baanka sipahiya 

julm bhayo, julm bhayo mope kal raat mori maiya 

julm bhayo mope kal raat mori maiya  

rasta tak tak thak gayi ankhiya 

rasta tak tak thak gayi ankhiya 

man me rah gayi man ki batiya 

jalti rahi mai banke baati 

jalti rahi mai banke baati 

aaya nahi saathi saari raat mori dayya 

julm bhayo, julm bhayo mope kal raat mori maiya 

julm bhayo mope kal raat mori maiya  

khuli thi haaye khidaki khula tha darwaaja 

phir bhi na aaya wo mere dil ka raaja 

suni suni rah gayi haaye raat mori dayya

julm bhayo, julm bhayo mope kal raat mori maiya 

julm bhayo mope kal raat mori maiya

Explore this song