Roman script

jo kal banaya tha aashiyana

wo aaj gir kar bikhar gaye hain 

jo kal banaya tha aashiyana 

are jamane ye julm karke 

bata bhala tujhko kya mila hain 

jo kal banaya tha aashiyana

wo aaj gir kar bikhar gaye hain 

jo kal banaya tha aashiyana 

na raat ki jholiyo me dekha 

na din ke daaman me chain paya 

na raat ki jholiyo me dekha 

na din ke daaman me chain paya 

na unki aankho me bas sake ham 

ye zindagi hain wo maut kya hain 

jo kal banaya tha aashiyana

wo aaj gir kar bikhar gaye hain 

jo kal banaya tha aashiyana 

agar koi haal mera puchhe 

gam-e-mohabbat tu unse kahana 

agar koi haal mera puchhe 

gam-e-mohabbat tu unse kahana 

ki aansu pahle se ghat gaye hain 

aur dard pahle se badh gaya hain 

jo kal banaya tha aashiyana

wo aaj gir kar bikhar gaye hain 

jo kal banaya tha aashiyana 

are jamane ye julm karke 

bata bhala tujhko kya mila hain 

jo kal banaya tha aashiyana

Explore this song