Roman script

moraya re bappa moraya re moraya bappa moraya re 

moraya re bappa moraya re moraya bappa moraya re 

moraya re bappa moraya re ganapati bappa moraya 

ganapati bappa moraya jisne tera naam liya 

uske man ka uske tan ka dukh tune sab dur kiya 

ganapati bappa moraya mangal murti moraya 

shankar suman bhawani nandan, he gajawadan mahan 

riddhi siddhi ke tum ho swami, tum sabke bhagawan 

mangal data buddhi vidhata, aisa do waradan 

karu wandana teri jab tak tan mein rahe ye praan  

karu wandana teri jab tak tan mein rahe ye praan 

ham hai bhawasagar ki lahare tum ho nirmal phul 

hamko nath shama kar dena ho jaye jo bhul 

tujhko pranam karte hai ham shraddha ke ye phul 

ham tar jaaye mil jaye jo charano ke ye dhul 

ham tar jaaye mil jaye jo charano ke ye dhul

niradhar ke is dharati pe tum hi ho aadhar 

kabhi band na hua tumhari daya daan ka dwaar 

tumse hi to bhare huye hai gyan ke ye bhandar 

ham kya sare dev tumhari karte jaye jayakar

Explore this song