Roman script

jinhe ek baar chaukhat humari raas aa jaye

nahi mumkin ke koi gum phir unke paas aa jaye

agar hum na hote to duniya mein koi 

agar hum na hote to duniya mein koi 

gum-e-dil bhulane ki surat na hoti

tadapte dilo ko kahin chaen milta

tadapte dilo ko kahin chaen milta

to apni yahan pe zaroorat na hoti

agar hum na hote

mohabbat ka bharpur andaaza leke

tarannum mein tu bhi ye awaaz leke

lubhaate hai har ek mehmaan ka dil

kabhi soz leke kabhi saaz leke 

agar koi dil ka khareedar milta 

agar koi dil ka khareedar milta

to bikane ki humko shikayat na hoti

agar koi dil ka khareedar milta

to bikane ki humko shikayat na hoti

agar hum na hote

wale kurabaan vai vai lale ki jaan vai vai

aa gaya banke tera hum bhi mehemaan vai vai

wale kurabaan vai vai lale ki jaan vai vai

aa gaya banke tera hum bhi mehemaan vai vai

gulbadan tere bala khane par aaj apna shikaar aya hai

o jiski gardan marodne ke liye

uche khan abdull sattaar aya hai

zara ye batane ki takleef karna

ke hai kaun aap apni tareef karna 

bas itni si tareef hai apni dilbar

hume dekh ke kaanp jate hai patthar

kisi ki chali na hukumat chalegi

yahan husan ki badshahat chalegi

magar ae haseena vai haseena 

magar ae haseena jahan hum gaye hai 

vahan wakt ke bhi kadam tham gaye hai 

vahan wakt ke bhi kadam tham gaye hai 

yahan hai humari nigaahon ka pehra 

vahan husan ke saamne koi thehra 

bahut hai adaayen tere baakpan mein

hum bhi to ustaad hai apnepan mein

hum bhi to ustaad hai apnepan mein

ye ustaadiyan to teri maante hai 

ye ustaadiyan to teri maante hai 

koi chor hai tu ye hum jante hai 

ui hume chor banna gawara na hota  

ui hume chor banna gawara na hota 

agar aaj choron ki izzat na hoti 

hume chor banna gawara na hota 

agar aaj choron ki izzat na hoti 

agar hum na hote

Explore this song