Roman script

jine ka agar andaz aaye

to kitni hansi hai zindagi

jine ka agar andaz aaye

to kitni hansi hai zindagi

marne ke liye jina hai agar

to kuch bhi nahi hai zindagi

kuch log yaha phulo ki jagah

kanto ki tamanna karte hai

kuch log yaha phulo ki jagah

kanto ki tamanna karte hai

jite hai na jine dete hai

hasti ko wo ruswa karte hai

hasti ko wo ruswa karte hai

jine ka agar andaz aaye

to kitni hansi hai zindagi

marne ke liye jina hai agar

to kuch bhi nahi hai zindagi

shabnam ki chamak, suraj ki kiran

kaliyo ki hansi dekhi hi nahi

shabnam ki chamak, suraj ki kiran

kaliyo ki hansi dekhi hi nahi

ye zindagi kitni dilkash hai 

afsos kabhi dekhi hi nahi

afsos kabhi dekhi hi nahi

jine ka agar andaz aaye

to kitni hansi hai zindagi

marne ke liye jina hai agar

to kuch bhi nahi hai zindagi

Explore this song