Roman script

jina mushkil marna mushkil
ho bechain hai dil betab hai dil
jina mushkil marna mushkil 
ho bechain hai dil betab hai dil
dil tha ek najuk sa shisha
thes lagi wo tut gaya
ab meri barbad zindagi me kya hai 
gum ke siwa gum ke siwa
ho gum ke siwa gum ke siwa
ho gayi ulfat ki manzil 
bechain hai dil betaab hai dil
jina mushkil marna mushkil 
ho bechain hai dil betaab hai dil
tumne nazre badli mujhse 
kismat ne muh fer liya
gum ki ek aandhi aayi har
simat pe mujhko gher liya
tuti kashti dur kinara 
bechain ho hai dil betaab hai dil
jina mushkil marna mushkil
ho bechain hai dil betaab hai dil
jo kuch dekha khwaab tha 
wo bhi adhura rah gaya
jo kuch dekha khwaab tha
wo bhi adhura rah gaya
pyar bhare dil ka har armaa 
aansu banke bah gaya
ho gayi viran main toh ho
bechain hai dil betaab hai dil
jina mushkil marna mushkil 
ho bechain hai dil betaab hai dil

Song details

Song video

Watch on YouTube