Roman script

jhuti baat nahi hai yaro 

o jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

aadhi hamne khud likhkhi hai aadhi hamne khud likhkhi hai 

baaki ki likhvaani hai 

ho itni umra kaha gujari hai kuchh sapana sa yaad pade 

itni umra kaha gujari hai kuchh sapana sa yaad pade 

phul mile the ya angare kis rut mein kya yaad kare 

dil ki tuti phuti dhadkan dil ki tuti phuti dhadkan 

pachapan saal purani hai 

jhuti baat nahi hai yaro 

o jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

bachhe ki ungali se ek din maa ki ungali chhut gai 

jis jhule par jhul raha tha uski rassi tut gai 

kis rishte ka saya thunthe kis rishte ka saya thunthe 

jab mamta bhi pani hai 

han jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

kyun purkho ne dharti bati kyun darvaja band kiya 

kyun sadiyo ke desh ko chhoda kyun pardesh pasand kiya

kyun sone ko mitti samjha kyun sone ko mitti samjha

aaj talak hairani hai 

han jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

raate bhi thi pagal jaisi hosh ude the din ke bhi 

main aadhi ke pichhe bhaga hanth na aaye tinke bhi 

sahil par bhi duba jaau sahil par bhi duba jaau 

mousam vo tufani hai 

jhuti baat nahi hai yaro 

o jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

sar par barse sukhe patte ya chahre par dhul gire

patjhad ki talvaar se katkat dali ka har phul gire 

is jangal mein rahana hoga is jangal mein rahana hoga 

jab tak dana pani hai 

han jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

aadhi hamne khud likhkhi hai aadhi hamne khud likhkhi hai 

baaki ki likhvaani hai 

jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai 

jhuti baat nahi hai yaro sachhi ram kahani hai

Explore this song