Roman script

jhirmir jhirmir meha barse ho rama

mann pyasa kahe tarse ho rama

ho ji ho, ho ji ho

baras baras barkha suhani kyu laye

diwani mujhe karne deewani kyu aaye

ye wo sawal jinke jawab dene me mushkil badi

ye wo sawal jinke jawab dene me mushkil badi

jane wafa ye falsafa janane ko hai umar padi

bhige hue mausam ka maja lut le aaja

ye narm faza, sard hawa lut le aaja

sanan sanan bahe purva pavan

pavan ke sang kahaan udd jaye mann

badal badal se takraye ho rama

ho kahe bijuri chamakaye o rama

badal barkha bijali ke raj janane ko abhi kyu adi

badal barkha bijali ke raj janane ko abhi kyu adi

bijali ke raaj janane ko abhi kyu adi

jaane wafa ye falsafa janane ko hai umar padi

bundon mein dhale moti jara loot le aaja

bheege huye mausam ka maja loot le aaja

barsat ke tarane barsat hi se pale

badal jo ga rahe hai wo sur chalo sajale

tutake barse pani pani bhige mori chunar dhani dhani

megh se bole papiha pyasa pas aa pas aa piya pas aa

indradhanush kaisa jaadu kare jadu kare, jadu kare

ankhiyo me rango ke khajane bhare

khajane bhare, khajane bhare

ye dhup aur pani ho rama hoti dekh ke hairani ho rama

in uljhano me jaye na bit hath aayi suhani ghadi

in uljhano me jaye na bit hath aayi suhani ghadi

jane wafa ye falsafa janane ko hai umar padi

ye rang ye masti ye nasha lut le aaja

bhige hue mausam ka maja lut le aaja

jhirmir jhirmir meha barse ho rama

ho ji ho, ho ji ho

jhirmir jhirmir meha barse

jhirmir jhirmir meha barse ho rama

jhirmir jhirmir meha barse ho rama

jhirmir jhirmir meha barse ho rama

Explore this song