Roman script

jane aaj kya hua aisa kabhi hua na tha

sanso me ghule nasha jaisa kabhi ghula na tha

tumhi bolo kya kare aisa hoga pata na tha

mitha mitha dard sa uthe ang ang me

jage koyi aag si jine ki umang me

hawa se tape badan jaisa kabhi tapa na tha

sanso me ghule nasha jaisa kabhi ghula na tha

tumhi bolo kya kare aisa hoga pata na tha

chhaya chhaya dur tak rango ka gubbar hai

aisa toh na tha jahan ho na ho yeh pyar hai

khawabo ka sama saja jaisa kabhi saja na tha

sanso me ghule nasha jaisa kabhi ghula na tha

tumhi bolo kya kare aisa hoga pata na tha

jane aaj kya huwa aisa kabhi hua na tha

sanso me ghule nasha jaisa kabhi ghula na tha

tumhi bolo kya kare aisa hoga pata na tha

Explore this song