Roman script

jane bahara jane tamanna, mehka diya aashiya 

jane bahara jane tamanna, mehka diya aashiya

aankho me jo sapne the mere, tumne rang diya

tum pe hi aakar rukti hain, sab meri khushiya

teri khushi me hi basti hain, meri yeh duniya

yu haste gate muskurate gujre 

hain jo pal aaye kal bhi laut kar

arey chhodo kyo kal kaa soche 

kal ki bate kal aaj ji le jhumkar 

jane bahara jane tamanna, mehka diya aashiya

kismat ko meri tumne, mohabbat se kiya roshan

roshan hain tere dam se, meraa mann yeh jivan

jivan ke imtihan me, sehra me gulsita me 

saya banke rahungi o piya

jane bahara jane tamanna, mehka diya aashiya

aankho me jo sapne the mere, tumne rang diya

ek tohfa jara yu do, tum jaisi murat ho

murat ho magar jiski, tum jaisi surat ho

chanda ya chandni ho, sagar ho ya nadi ho

hongi apni hi woh nishaniya

jane bahara jane tamanna, mehka diya aashiya

aankho me jo sapne the mere, tumne rang diya

yu haste gate muskurate gujre 

hain jo pal aaye kal bhi laut kar

arey chhodo kyo kal kaa soche

kal ki bate kal aaj ji le jhumkar

jane bahara jane tamanna, mehka diya aashiya

Explore this song