Roman script

jamin hans rahi hai falak ro raha hai

mohabbat me ye kya ho raha hai

tune jamane ye kya kar diya

lau se diye ko juda kar diya

thukaraya tune agar aasman

jayenge phir ye sitare kaha

tune jamane ye kya kar diya

kya hai jalim sansar tera pane ko pyar

mai to takadir se bhi ladunga sanam

dil tod ke gayi chhod ke 

to bata phir mai kaise jiyunga sanam

kya jane tu kitni tuti hu mai

tujhse nahi khud se ruthi hu

tune jamane ye kya kar diya

na to teri khata na meri khata do dilo me

padi duriya hai sanam

kuch hai teri aur kuch hai

meri ham dono kee majaburiya hai sanam

sagar se jaise kinare juda 

hamse huye hai hamare juda

tune jamane ye kya kar diya

Explore this song