Roman script

jalta dil-e-naushad hain

jalta dil-e-naushad hain malum nahi kyon

fir lab pe teri yaad hain malum nahi kyon

hay lab teri yaad hain malum nahi kyon

ulfat ne aake chhin li mujhse meri khushi 

aati hain jamaane ko mere haal pe hanshi 

aati hain jamaane ko mere haal pe hanshi

ho ho mere haal pe hansi 

duniyaa meri barbaad hain

duniyaa meri barbaad hain, malum nahi kyo

hay lab pe teri yaad hain malum nahi kyo

fir lab pe teri yaad hain malum nahi kyo

aati hain yaad mujhko beeti wo kahaani 

pahalu me mere thi teri madhosh jawaani 

pahalu me mere thi teri madhosh jawaani 

ho ho madhosh jawaani 

ab hampe ye bedaad hain 

ab hampe ye bedaad hain, malum nahi kyon

hay lab pe teri yaad hain, malum nahi kyo

fir lab pe teri yaad hain, malum nahi kyo

kitana bhi chaaho karlo sitam hampe tum sanam

tujhko na bhulaayenge tere pyaar ki kasam

tujhko na bhulaayenge tere pyaar ki kasam

ho ho tere pyaar ki kasam 

har saans me fariyaad hain 

har saans me fariyaad hain, malum nahi kyon

hay lab pe teri yaad hain, malum nahi kyo

fir lab pe teri yaad hain, malum nahi kyo

jalta dil-e-naushad hain

jalta dil-e-naushad hain malum nahi kyon

fir lab pe teri yaad hain malum nahi kyon

hay lab teri yaad hain malum nahi kyon

Explore this song