Roman script

sab gaao re aarti santoshi mata ki

aarti santoshi mata ki 

jyoti jagao re hriday me santoshi mata ki

hriday me santoshi mata ki

sab gaao re aarti santoshi mata ki

aarti santoshi mata ki 

laal rang sohe kamal badan pe 

chhabi manmohak laage

o maiya ji ki chhabi manmohak laage

aa mand hasati karunamayi mata 

tan shrungar susaaje

o maiya ji ka tan shrungar susaaje

divya rup ko dekh ke jan jan

divya rup ko dekh ke jan jan 

dev rishi gan gaate, aarti santoshi mata ki

aarti santoshi mata ki 

svarn sinhaasan baithi maiya 

chavar mand gati dhulte 

maiya ji ki chavar mand gati dhulte 

shukravar shubh din mata ka 

jan man pujan karte

maiya ji ka jan man pujan karte

gud aur chana ka bhog lagakar

gud aur chana ka bhog lagakar 

aarti vandan karte, aarti santoshi mata ki

aarti santoshi mata ki

santoshi mata ka jag me 

jo jan hai vrat karte

maiya ji ka jo jan hai vrat karte

ho un sabki jholi me maiya 

saari khushiya bhar de

maiya saari khushiya bhar de

shraddha deepak jala hriday me

shraddha deepak jala hriday me

tan mann ujwal kar le, aarti santoshi mata ki

aarti santoshi mata ki

khatta bhoga na bhaaye maa ko 

bhul kabhi mat karna

bhai bhul kabhi mat karna

mata ki jaikaar sada tu 

sachche man se karna

jai jai sachche man se karna

karo aarti prem se bhakto

karo aarti prem se bhakto 

dhyaan sada hi dharna, aarti santoshi mata ki

aarti santoshi mata ki

sab gaao re aarti santoshi mata ki

aarti santoshi mata ki 

jyoti jagao re hriday me santoshi mata ki

hriday me santoshi mata ki

sab gaao re aarti santoshi mata ki

aarti santoshi mata ki

Explore this song