Roman script

jahan talak bhi ye sahra dikhayi deta hai

meri hi tarah se akela dikhayi deta hai

na itni tej chale sarphiri hawa se kaho

na itni tej chale sarphiri hawa se kaho

shajar pe ek hi patta dikhayi deta hai

jahan talak bhi ye sahra dikhayi deta hai

ye ek abar ka tukda kahan kahan barse

ye ek abar ka tukda kahan kahan barse

tamaam dasht hi pyasa dikhayi deta hai

jahan talak bhi ye sahra dikhayi deta hai

wo alvida ka manjar wo chhalakti palke

wo alvida ka manjar wo chhalakti palke

pas-e-gubar bhi kya kya dikhayi deta hai

jahan talak bhi ye sahra dikhayi deta hai

meri hi tarah se akela dikhayi deta hai

jahan talak bhi ye sahra dikhayi deta hai

Explore this song