Roman script

jagmag jagmag raate suni 

yaado mein hansti roti

ye tofa diya tumhari chaht ne 

jagmag jagmag raate suni 

yaado mein hansti roti

ye tofa diya tumhari chaht ne 

na tujhpe iljam koi 

na main hu mujalim koi 

ye dhokha kiya hamari kismat ne 

jagmag jagmag raate suni 

yaado mein hansti roti

ye tofa diya tumhari chaht ne 

uthane ko kadam the milne ko sanam the

jab aankhe khuli to jana ke bharm the

rimjhim barsato mein bhige the

ab wo barsate rulaye hai 

jhilmil chandni mein milte the

ab wo hi aag lagaye hai 

chunna chaha tha moti

ashko se bhar gaya yu hatheli 

ye tofa diya tumhari chahat ne

Explore this song