Roman script

aawaz meri sun kar

aawaz meri sun kar ek baar chale aana

jab tumko pukaru main sarkar chale aana

pehle to bulane par tum saukh se aate the

nagmo se mohabbat ki takdir jagate the

ab muh nahi dikhlate aise bhi bigdna kya

jab sath janam ka hai phir milke bichadna kya

nagri hai meri suni dildar chale aana

jab tumko pukaru main sarkar chale aana

hai naaz mujhe apne armaan bhare dil par

tanha na rahungi main ab ishk ki manjil par

ulfat hai agar sachi main bhi tumhe paa lungi

tum dur raho lekin main paas bula lungi

deta hai sada tumko phir pyaar chale aana

phir tumko pukaru main sarkar chale aana

Explore this song