Roman script

babuva ho babuva, pahuna ho pahuna 

babuva ho babuva, pahuna ho pahuna 

jab tak pure naa ho phere saat 

jab tak pure naa ho phere saat 

tab tak dulhan nahi dulha ki 

re tab tak babuni nahi babuva ki

naa, jab tak pure naa ho phere saat 

abahi to pahuna pahli bhavar padi hai

abahi to pahuna dilli dur badi hai

ho pahli bhavar padi hai, dilli dur badi hai

karni hogi tapasya saari raat

jab tak pure naa ho phere saat 

tab tak dulhan nahi dulha ki 

re tab tak babuni nahi babuva ki

naa, jab tak pure naa ho phere saat 

jaise jaise bhanvar pade, man apno ko chhod e 

ek ek bhaanvar nata anjaano se jode 

man ghar apno ko chhod e, anjano se nata jode 

sukh ki badri aansu ki barsaat

jab tak pure naa ho phere saat 

tab tak dulhan nahi dulha ki 

re tab tak babuni nahi babuva ki

naa, jab tak pure naa ho phere saat 

babuva ho babuva, pahuna ho pahuna 

saat phere dharo, babuva bharo saat vachan bhi

aisi kanya kaise arpan kar de tan bhi man bhi

saat phere dharo, babuva bharo saat vachan bhi

aisi kanya kaise arpan kar de tan bhi man bhi

utho utho babuni dekho dekho dhruv tara

dhruv taare sa hua amar suhaag tihaara

dekho dekho dhruv tara, amar suhaag tihaara

saato phere saat janmo ka saath

jab tak pure naa ho phere saat 

tab tak dulhan nahi dulha ki 

re tab tak babuni nahi babuva ki

naa, jab tak pure naa ho phere saat

Explore this song