Roman script

teri aankho ki namkin mastiya 
teri hasi ki beparwah gustakhiya
teri julfo ki lehrati angdayiya
nahi bhulunga main jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
tera haath se haath chhod na tera saayo ka rukh modna
tera palat ke fir na dekhna nahi maaf karunga main
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
barishon me bedhadak tere nachne se
baat baat par bewajah tere ruthne se
choti choti teri bachkaniyo badmashiyo se
mohabbat karunga main 
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
teri jhuthi kasme waado se tere jalte sulagte khwabo se 
teri bereham duaao se nafrat karunga main
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Song details

Song video

Watch on YouTube