Roman script

jab tak hai aakash pe suraj

ganga mein hai paani

jab tak hai aakash pe suraj

ganga mein hai paani

amar rahegi dharti par

ravidas ki amritvani

ravidas ki amar kahani

jab tak hai aakash pe suraj

ganga mein hai paani

amar rahegi dharti par

ravidas ki amritvani

ravidas ki amar kahani

chhoti jaati chhoti paati

chhote kul mein janam liya

gudri ke is laal ne manavta

ka ye sandesh diya

karm se koi nich nahi

sab kaam hai achhe kaam

har manav ke man mandir

mein rehte hai shri ram

tabhi to keh gaye sant ke

prabhu ji tum chandan ham paani

amar rahegi dharti par

ravidas ki amritvani

ravidas ki amar kahani

dharm ke thekedaro ne

aisa andher machaya

prem ke badle logo ko

nafrat ka paath padhaya

aise yug mein bhi ravidas ne

sab ko baanta pyaar

ram naam ka mantr diya

dukhiyo ka kiya uddhar

bhed bhav ki deewaro mein

bandh hai jag agyani

amar rahegi dharti par

ravidas ki amritvani

ravidas ki amar kahani

is mati ka kan kan

nis din inki katha kahega

gagan me jab tak ravi chamke

ravidas ka naam rahega

jab jab atyachaar yaha

seema ko karta paar

is dharti par mahapurush

tab lete hai avtaar

samay aandhi mita na sakti

sant ki nirmal vani

amar rahegi dharti par

ravidas ki amritvani

ravidas ki amar kahani

jab tak hai aakash pe suraj

ganga mein hai paani

amar rahegi dharti par

ravidas ki amritvani

ravidas ki amar kahani

Explore this song