Roman script

jab sur alag ho saaz se

ae ae

ae ae ae

laya munh na kholegi kabhi

bichhde miley to sur mile

ae ae

payaal bhi bolegi tabhi

naache chham chham

aansoo hardam

mujh birhan ke gaal pe

bol birah ke bol paayaliya

dukhiyaari ke haal pe

dukhiyaari ke haal pe

raha bulbulon ka ik joda

sajni se sajan bichhuda

chaman ujda

ro ke kaati raat andheri

bulbul sookhi daal pe

bol birah ke bol paayaliya

dukhiyaari ke haal pe

dukhiyaari ke haal pe

naari badri ek jagat mein

baadariya yahaan barse wahaan barse

naari ka jeewan saawan ki

rimjhim rimjhim taal pe

bol birah ke bol paayaliya

dukhiyaari ke haal pe

dukhiyaari ke haal pe

jhoom chali main piya milan ko

bedardi mujhe jaane na pehchaane

milan hua to piya na maane

sar maaroon deewaal pe

bol birah ke bol paayaliya

dukhiyaari ke haal pe

dukhiyaari ke haal pe

Explore this song