Roman script

aaina dekh ke bole ye sanwarne wale

ab to bemaut marenge mere marne wale

dekhke tumko hosh me aana bhool gaye

yaad rahe tum aur zamaana bhool gaye 

jab saamne tum jab saamne tum aa jaate ho 

kya jaaniye kya ho jaata hai

kuch mil jaata hai kuch kho jaata hai

kya jaaniye kya ho jaata hai

chaha tha ye kahenge socha tha wo kahenge

aaye wo saamne to kuch bhi na keh sake

bas dekha kiye unhe ham

dekh kar tumko yakee hota hai 

dekh kar tumko yakee hota hai 

koi itna bhi haseen hota hai 

dekh paate hai kahan ham tumko 

dil kahin hosh kahin hota hai jab saamne tum

ho jab saamne tum aa jaate ho 

kya jaaniye kya ho jaata hai

kuch mil jaata hai kuch kho jaata hai

kya jaaniye kya ho jaata hai

aa kar chale na jaana aise nahin satana

dekar hansi labon ko aankhon ko mar rulaana

dena na beqaraari dil ka karaar banke

yaadon mein kho na jaana tum intzaar banke intzar banke

bhool kar tumko na jee payenge

bhool kar tumko na jee payenge

saath tum hogi jahan jayenge

ham koi waqt nahi hain hamdam

jab bulaaoge chale aayenge jab saamne tum 

ha ha ha jab saamne tum aa jaate ho 

kya jaaniye kya ho jaata hai

kuch mil jaata hai kuch kho jaata hai

kya jaaniye kya ho jaata hai

Explore this song