Roman script

peer paigmbar majahab duniya 
sabse badhkar heer hai meri
heer mein sab hai heer mein rab hai 
rab jaisi takdeer hai meri
ranjha meri haddiya ramaya
duniya ki kya jarurat
main ranjhe ki surat hu aur ranjha meri surat
jab rab ke ghar mein pyar ki tasweer ban gayi
main ranjha ban gaya tu meri heer ban gayi
jab rab ke ghar mein pyar ki tasweer ban gayi
tu ranjha ban gaya tu meri heer ban gayi
jab rab ke ghar mein pyar ki tasweer ban gayi
main ranjha ban gaya tu meri heer ban gayi
teri gahari aankho mein to jhil ki rawani hai
palko ke niche mere pyar ki kahani hai 
tu meri aas hai tu meri pyaas hai
dekh meri jimdagi bhi ranjhe tere paas hai 
jab chahne walo ki takdeer ban gayi
main ranjha ban gaya tu meri heer ban gayi
likh diya naam tera dil ki kitab mein 
dekhi khudai maine tere shabab mein 
rasmo riwaaj sare duniya ke tod du
tere liye to main khudai ko bhi chhod du
jab rab ke ghar mein pyar ki tasweer ban gayi
main ranjha ban gaya tu meri heer ban gayi

Song details

singer: Anuradha Paudwal, Vipin Sachdeva