Roman script

jab geet hawao ne gai, tum yaad aaye 

jab khushbu ke badal chhaye, tum yaad aaye 

jab subaho ne rang chhalkaye, tum yaad aaye 

jab mahke shamo ke saye, tum yaad aaye 

tum yaad aaye 

jab geet hawao ne gai, tum yaad aaye 

jab khushbu ke badal chhaye, tum yaad aaye 

jab koi sunehara din aaya 

jab mausam jhuma lahraya 

jab rut ne li ek angdaai 

jab dhup me narmi si aai 

jab rang naye kaliyo ko mile 

jab dali dali phul khile 

jab phulo pe bhaunre madraye 

tum yaad aaye 

jab khushbu ke badal chhaye, tum yaad aaye 

jab koi suhani rut aai 

jab sapno ki barat aai 

jab ambar me raate damke 

jab aangan me jugnu chamke 

jab hui ghaneri khamoshi 

jab chhai halki bebasi 

jab raat ne tan man pighlaai 

tum yaad aaye 

jab khushbu ke badal chhaye, tum yaad aaye 

tum yaad aaye, tum yaad aaye

Explore this song