Roman script

jab chhaye mera jadu, koi bachh na paye hai hay

jab chhaye mera jadu, koi bachh na paye hai ha

phulo ki narmi hu mai, sholo ki garmi hu mai

tufano ki halchal hu, hawao ka aanchal hu mai

jo dhunde wo paye phir bhi hath na aaye, ha

jab chhaye mera jadu, koi bachh na paye hai hay

kabhi mai dard jagati hu, kabhi mai jakhm mitati hu

kabhi mai raz chupati hu, kabhi khud raz ban jati hu

dil tute ho sath chhute phir bhi tu pichhe aaye, ha

jab chhaye mera jadu, koi bachh na paye hai hay

mujhse tum takrana na, aake yaha pachhatana na

mera badan pighla sona, jaan bhi jaaye khabar ho na

ye masti nahi sasti, dilwala hi boli lagaye, hay

jab chhaye mera jadu, koi bachh na paye hai ha

Explore this song