Roman script

chand ki pari hai koi khwab ya nazar aaya 

husn ka rishta kaisa mere rubaru aaya 

ho aise bahaare jaise aa gayi veerano me 

panchhiyo ki mithi boli khul gayi tarano me 

zindgi ko meri saat rang yun mil gaye 

taare huzaro naino me khil gaye 

o re mere sathiyo 

jaane kaise kab ye baat ho gayi 

aankho se tu dil me aa gayi 

anjaani si jo thi nazro ko 

kab wo man ko bha gayi 

chandni khili dil ko tera chehra yaad aaya 

patto ki huyi jo aahat khyaal aaya 

baago ki pawan me aaj teri hi khushbuye 

zulfo jaisi kaali chaai hai ye ghata 

o re mere soniya o o 

jaane kaise kab ye baat ho gayi 

aankho se tu dil me aa gayi 

anjaani si jo thi mere nazro ko 

kab wo man ko bha gayi

Explore this song