Roman script

jaane kahan le ke jaaye zindagi 

kaise khwab dikhaye zindagi

ban ke tera hamsafar

main chala jaane kidhar

zindagi o zindagi

kya kya rang dikhae zindagi

jaane kahan le ke jaaye zindagi 

kyoon waqt laaya mujhko gham ke shehar me 

kaate biche hai kitne har rehgujar me 

jakhmo ke jaane kitne dil me nishaa hai 

aansu hi aansu hai aankho ke ghar me 

is shehar ko kya hua rehgujar ko kya hua 

zindagi o zindagi 

kyoon ye zakhm lagaye zindagi

jaane kaha le ke jaaye zindagi 

raato ne aakar mera sapna churaaya 

din ke ujaalo ne bhi saaya churaaya 

shikayat karu mai kisshe kisko sunau

duniya ne mujhse mera kya kya churaaya 

bebasi hi bebasi kya kru kya naa karu 

zindagi o zindagi 

kitne dard chupaye zindagi

jaane kahan le ke jaaye zindagi

Explore this song