Roman script

Chaand sitaaron laal gulabon

Kasme wadon wala nahi

Khat mein dil ka haal bayan ho

Padhne likhne wala nahi

Dil ki shaan mein sher sunane

Ghazle gaane wala nahi

Aankhon hi aankhon mein saari

Umar bitaane wala nahi

Naye daur ka love kya kehna

Har pal keemti hota

Ishq ye fir bhi kaayam

Raaton ko dil ye rota

Naye daur ka love kya kehna

Raat gayi toh baat gayi

Ishq ye phir bhi maddham hai

Ishq abhi bhi ishq hai

Behadd ye mera ishq hai

Naya naya ho ya puraana

Phir bhi khoobsoorat hai

Ishq abhi bhi ishq hai

Behadd ye mera ishq hai

Naya naya ho ya puraana

Ishq abhi bhi, ishq abhi bhi

Ishq hai

Hathon mein hathon yun hi leke

Sair karaane wala nahi

Mom ki battiyan jalake

Khair karaane wala nahi

Saat saat saaton janam ki

Kasame khane wala nahi

Kal ki fikron mein jawani

Ko udaane wala nahi

Naye daur ka love kya kehna

Mushkil mein hai hota

Naa milo toh yeh roothe

Hai milne pe bhi rota

Naye daur ka love kya kehna

Raat gayi toh baat gayi

Chaand ye phir bhi maddham hai

Ishq abhi bhi ishq hai

Behadd ye mera ishq hai

Naya naya ho ya puraana

Phir bhi khoobsoorat hai

Ishq abhi bhi ishq hai

Behadd ye mera ishq hai

Naya naya ho ya puraana

Ishq abhi bhi, ishq abhi bhi

Ishq hai

Mann kahe ke na darana

Aise ghabraana

Dil kahe ishq hai

Pehla ho ya ho aakhri

Dil kahe aafreen

Ishq toh ishq hai

Baarishein hai geeli geeli

Thodi seeli seeli

Dhoop abhi bhi khushk hai

Din raat raat-din ho jaaye

Ishq abhi bhi ishq abhi bhi

Ishq hai

Naye daur ka love kya kehna

Har pal keemti hota

Ishq ye fir bhi kaayam

Raaton ko dil ye rota

Naye daur ka love kya kehna

Raat gayi toh baat gayi

Ishq ye fir bhi maddham hai

Ishq abhi bhi ishq hai

Behad ye mera ishq hai

Naya naya ho ya puraana

Fir bhi khoobsoorat hai

Ishq abhi bhi ishq hai

Behad ye mera ishq hai

Naya naya ho ya puraana

Ishq abhi bhi ishq abhi bhi

Ishq hai

Explore this song