Roman script

sath hawa ke sair ko nikli

jaagte rahna jaagte rahna

rasto se aawaze gujri

aur hanske main khud se boli

janmo se main jaag rahi hu

intzaar ko sadh rahi hu

koi to aaye koi to bole

tu so ja ek baar

intzaar intzaar

bolo kab tak karu intzaar

intzaar intzaar

bolo kab tak karu intzaar

subah subah aangan me apne

sile khab sukhati hu main

kaano me khud daal ke ungli

unche sur me gaati hu main

shakh, gulmohar ki hasrat se

kitni baar hilati hu main

kabhi to khushbu se bhar jaye

ye daman ek baar 

intzaar intzaar

bolo kab tak karu intzaar

intzaar intzaar

bolo kab tak karu intzaar

pahle thoda jiya jalaya

phir aangan me deeya jalaya

naram ghas par chalkar dekha

ek bulbul ko pass bulaya

aur usne kaano me gayaa

aayega wo dhup ka tukda

ek din mere dwara

intzaar intzaar jiska mujhe intzaar

intzaar intzaar jiska mujhe intzaar

intzaar intzaar jiska mujhe intzaar

intzaar intzaar jiska mujhe intzaar

intzaar intzaar jiska mujhe intzaar

Explore this song