Roman script

ye ankhen nashili ye palken gulabi

ye ankhen nashili ye palken gulabi

inhe dekh kar ham hue hai sharabi 

inhe dekh kar ham hue hai sharabi

ho ye nazuk adayen ye chehra kitabi

inhe dekh kar ham hue hai sharabi

inhe dekh kar ham hue hai sharabi

you are mesmerizing intoxicated

you are drunk on love and stimulated

you are mesmerizing intoxicated

you are drunk on love and stimulated

abhi tum meri jan fakat ek kali ho

baharon ki aghosh me tum pali ho

abhi tum meri jan fakat ek kali ho

baharon ki aghosh me tum pali ho

nazar tumpe bhanvron ki padne lagi hai

tumhari nazar dil mein gadne lagi hai

har andaz me ek nazakat chupi hai

tumhari hasi me qayamat chupi hai 

tumhi se nazaron me ye dilkashi hai

gulon ke labon par tumhari hasi hai

ishare tumhare machaye tabahi

inhe dekh kar ham hue hai sharabi

inhe dekh kar ham hue hai sharabi

inhe dekh kar ham hue hai sharabi

jawani ka tumpe suroor aa raha hai

magar thoda thoda guroor aa raha hai

jawani ka tumpe suroor aa raha hai

magar thoda thoda guroor aa raha hai

nazar se har ek bat kehne lagi ho

khayalon mein din rat rehne lagi ho

kabhi tum bhi samjho mere dil ki uljhan

kareeb aa ke sun lo kya kehti hai dhadkan

ye nazron ke sholay bhadakne lage hai

kadam ab hamare behakne lage hai

ye bahen tumhari hai jaise surahi

inhe dekh kar ham hue hai sharabi

inhe dekh kar ham hue hai sharabi

inhe dekh kar ham hue hai sharabi

Explore this song