Roman script

in pyar ki raho me, tera hi sahara hai

aa mil ke chale hum tum, mausam ka ishara hai

hai tu hi meri manzil, aur tu hi kinara hai,

phul aur khushbu jese, ab saath hamara hai

in pyar ki raho me, tera hi sahara hai

in pyar ki raho me, tera hi sahara hai

rang dekh ke phulo ka, dil bas mai nahi rehta

khud sun lo meri dhadkan, mai kuch bhi nahi kehta

dil ko samjha lo na, dhadkan ko daba lo na

bechain ho kyu aakhir, jab phul tumhara hai

in pyar ki raho me, tera hi sahara hai

in pyar ki raho me, tera hi sahara hai

bechain to honge hi, tum baat wo karti ho

ab dar hai tumhe kiska, kis baat se darti ho

dar hai ruswai ka, dar is tanhaai ka

is pe bhi jo sach pucho, hume dar ye tumhara hai

in pyar ki raho me, tera hi sahara hai

aa mil ke chale hum tum, mausam ka ishara hai

hai tu hi meri manzil, aur tu hi kinara hai,

phul aur khushbu jese, ab saath hamara hai

Explore this song