Roman script

iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun 

iktaara bolo tun tun kya kahe ye tumse, sun sun

baat hai lambi matlab gol

khol na de ye sabke pol, to phir uske baad

iktaara bole tun tun tun tun tun tun 

iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun 

iktaara bole tun tun tun tun tun tun 

kuchh aise log bhi hote hain, kuchh aise log bhi hote hain

apni galti pe rote hain, apna to pet nahi bharta

par das das bachche hote hain, par das das bachche hote hain

har saal calender chaap diya

parivaar niyojan saaf kiya, to phir uske baad

iktaara bole tun tun tun tun tun tun 

iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun 

iktaara bole tun tun tun tun tun tun 

arre rocket koi chadhata hai, arre rocket koi chadhata hai

koi atom bomb banaata hai, aman ke naam pe dekho wo

duniya pe rob jamaata hai, duniya pe rob jamaata hai

baarood agar ye chal jaaye

saari duniya jal jaaye, to phir uske baad

iktaara bole tun tun tun tun tun tun 

iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun 

iktaara bole tun tun tun tun tun tun 

mandir se log ghabraate hain, mandir se log ghabraate hain

aur roz club me jaate hain, log bhakti bhajan sab bhool gaye

aur filmi gaane gaate hain, aur filmi gaane gaate hain

jab dharm nahi aur sharm nahi

koi bhi achchha karm nahi, to phir uske baad

iktaara bole tun tun tun tun tun tun 

iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun 

iktaara bole tun tun tun tun tun tun 

do kism ke neta hote hain, ik deta hai ik paata hai, ho ho

ik desh ko lut ke khata hai, ik desh pe jaan lutata hai, ho ho

ik zinda rah kar marta hai, ik mar kar jeewan paata hai

ik mara to naam-o-nishaan hi nahi, ik yaadgaar ban jaata hai 

ik yaadgaar ban jaata hai

bhagwaan kare mere desh ke sab neta hi ban jaaye aise

thode se laal bahadur ho, thode se ho nehru jaise

thode se ho nehru jaise

raam na kare mere desh ko, raam na kare mere desh ko

kabhi bhi aisa neta mile jo aap bhi doobe desh bhi doobe

janta ko bhi le doobe, arre janta ko bhi le doobe

vote liya aur khisak gaya

jab kursi se chipak gaya, to phir uske baad, uske baad

iktaara bole tun tun tun tun tun tun 

iktaara bole tun tun kya kahe ye tumse, sun sun 

iktaara bole tun tun tun tun tun tun 

tun tun tun tun tun tun 

tun tun tun tun tun tun

Explore this song