Roman script
hamne bhi mohabbat ki thhi magar hamne bhi mohabbat ki thhi magar kuchh bhi na mila hasrat ke siwa tumne bhi hamen ilzaam diya kya kahiye ise kismat ke siwa hamne bhi mohabbat ki thhi magar aa aa aa aa aa aa aa aa aa sunte thhey wafa jo karte hain inaam e wafa paa jaate hain chaahat ki nazar rakhne waale chaahat ka sila paa jaate hain dekha to koi anjaam nahi dekha to koi anjaam nahi ulfat ka hamne ulfat ke siwa hamne bhi mohabbat ki thhi magar aisa to kabhi socha bhi na tha tum ham se juda ho sakti ho jis dil pe thha itna naaz tumhein us dil ki khata ho sakti hai chaaha thha tumhaara pyaar magar chaaha thha tumhaara pyaar magar kuchh pa na sake tohmat ke siwa hamne bhi mohabbat ki thhi magar
Song details
- Singer: Asha Bhosle
- Singer: Mahendra Kapoor
- Film / album: Dilli Ka Dada (1962)
- Composer: N Datta
- Lyricist: Sahir Ludhianvi
- Actor: Sheikh Mukhtar
- Actor: Shekhar
- Actor: Sahira
- Actor: Mukri Nishi
Song video
singer: Asha Bhosle, Mahendra Kapoor