Roman script

hey humnava mujhe apna bana le

sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

hmm hoon akela, zara haath badha de

sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

kab se main dar dar phir raha

musaafir dil ko panaah de

tu awaargi ko meri aaj thehra de

ho sake toh thoda pyaar jataa de

sookhi padi iss dil ki zameen ko bhiga de

murjhaayi si shaakh pe dil ke phool khilte hain kyun

baat gulon ki, zikr mehak ka acha lagta hai kyun

un rango se tune milaaya jinse kabhi main mil na paaya

dil karta hai tera shukriya, phir se bahaare tu laa de

dil ka suna banjar mehka de

sukhi padi dil ki is zameen ko bhiga de

hmm hoon akela, zara haath badha de

sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

waise toh mausam guzre hain zindagi mein kayi

par ab naa jaane kyun mujhe wo lag rahe hain haseen

tere aane par jaana maine kahin na kahin zinda hoon main

jeene lagaa hoon main ab ye fizaayein

chehre ko chhuti hawaayein

inki tarah do kadam toh badha le

sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

o hoon akela, zara haath badha de

sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

Explore this song