Roman script

hum to ek anadi wo hai ek khiladi

uske dhndhe kale hum raja dilwale

hum to ek anadi wo hai ek khiladi

uske dhndhe kale hum raja dilwale

kiska kartab kya hai humko matlab kya hai

nayi hai kiski motar kiska chakda chuna

kon ruka hai mumbai kon gaya hai puna

to dekho katha chuna kahe apni jan jalao

chhodo yar pan lagao chhodo yar pan lagao

dekho katha chuna kahe apni jan jalao

chhodo yar pan lagao are chhodo yar pan lagao

inse milan ki bate hai dur hi se pyari

achi na dusmani hai achi na inki yari

ye kale vyapri nag hai ye albele

wo hi jaan gawaye sang jo inke khele

are sasur hamka tumko hasna jina aaye

apni khair manao

chhodo yar pan lagao are chhodo yar pan lagao

paisa bhi kya bala hai jadu sabhi pe dale

paisa jo gudgudaye hasde ye husn wale

kimat kya hai dil ki sabko chale samjhane

milte hai dunia me hamse kaha diwane

are pyar to aisa bhuli dunia bas aahe bharke reh jao

chhodo yar pan lagao are chhodo yar pan lagao

inse to hum bhale hai in jaise nahi jo bante 

mano agar hamari to dusman ye hai ye watan ke

barsao in par daulat  pathar hum par barse

ye to pahne resham hum khadar ko tarse

rajniti ki bate sun ke police na dharle 

chhodo yar pan lagao are chhodo yar pan lagao

Explore this song