Roman script

tere ghar me dip jala teri godi me nanha chand khila 

ye angan hua abaad hai, ye angan hua abaad hai  

meri sabko mubarakbaad hai, meri sabko mubarakbaad hai

ye angan hua, ye angan hua abaad abaad abaad hai  

meri sabko mubarakbaad hai ji, meri sabko mubarakbaad hai

aurat magad pe jab hoti kismat ki meharbaani

aurat magad pe jab hoti kismat ki meharbaani

upar wala deta hai unko pyaar ki ek nishaani

hai usko ye manjur yahi hai duniya ka dastur 

na garmi me garam, na sardi me sarad

na aurato me aurat, na mardo me marad

hum tisari nasal wale duniya se nirale hai 

hum tisari nasal wale duniya se nirale hai 

aaye haay tisari nasal wale hai

ghungharu chhankaye haye, aankho ko ladaye haye

kuleh matkaaye haye, nakhare dikhlaye haye

mujre se kamaye haye, raate bhi sajaye haye 

kyo maal humare pe tune daake daale hai

kyo maal humare pe tune daake daale hai

hum tisari nasal wale duniya se nirale hai

are bejat are kamjaat meri roji pe maare laat 

huye tum duniya me badnam, na koi pesha na koi naam 

are khana kharaba ,tere paise pe peshab 

na koyi bachcha na aulaad, tumko kaun karega yaad 

are agar mujhko doge dhakke, har janam banoge chhakke  

har janam banoge chhakke, ha tum har janam banoge chhakke

hum bich bich bich waale bin chaabi ke taale hai

hum bich bich bich waale bin chaabi ke taale hai

hum tisari nasal wale duniya se nirale hai 

hum tisari nasal wale duniya se nirale hai 

nanhe ki amma shaava, de dus rupiya shaava

ye jug jug jiye shaava, tera krishan kanhaiya shaava

munne ki bua shaava, jara batuaa kholo shaava

ye chand sa beta shaava, chandi me tolo shaava

munne ke chacha shaava, kuchh pyar se de de shaava

sone ka chhalla shaava, tu vaar ke de de shaava

kya soch raha hai shaava, munne ke mama shaava

tu bhi kuch de de shaava, na kar drama shaava 

sauteli amma shaava, tu kar tyaari shaava

ye kangna de de shaava, ab teri baari shaava

are nina mina or garina maaro aisa thumka 

khinch lo shaadi, khol do nathni

chhin lo iska jhumka , aay haay chhin lo iska jhumka 

aaye haay chhin lo iska jhumka, haye iski chaal to dekho 

kamar tak baal to dekho haye, ye gore gaal to dekho haye 

tum iski khaal to dekho haye 

are are waah nigodi lage hai langadi ghodi  

bhagi are bhagi 

are bhagi bhagi bhagi dekho dum daba ke bhagi

dekho dum daba ke bhagi

ek roz gayi mai ui, eske kamare par ui, ye mujhse bola ui

haye meri laila ui

phir khol ke thaila ui, di  mujhko buti ui, meri izzat luti ui

jo kismat futi ui

are mujhe bhi na chhoda mua ne ha, ek roz khadi thi ui

mai sadak kinare ui, es tarachand ne ui, mujhe kiye ishare ui

yo dur se bola ui, jara pass to aa re ui

mai jor se boli ui, are ja re ja re ui

are aya aya aya hakim tarachand

aya aya aya hakim tarachand

ari pakdo pakdo pakdo, tha kamre me band 

are pakdo pakdo pakdo, tha kamre me band 

are waah re tarachand khake piste or gulkand 

buddhe ne kiya kamaal esaki umar hai sattar saal 

de kar dolak pe taal lo paida kar diya laal 

teri muchho pe balihari teri aankho pe mai wari 

mai aashiq ho gayi teri tujhe najar lage na meri 

mujhko baaho me bhar le jo karna chaha kar le

ek najar pyaar ki kar de, meri bhi godi bhar de

or de de kapda , de de sau sau ka tu patta

de de sau sau ka tu patta

sau ka nahi hai to pachas ka hi de de 

haye haye bis ka hi de de, are bis ka nahi to dus ka hi de de 

are muye panch ka hi de de re, are panch ka bhi nahi hai nigode 

to khali action hi kar de 

kyu tarachand hai rota, kanjus se aisa hota

jo humko deta bel, tujhko lagta nahi ye tel

aa aao ri mil kar hum sab kare tarachand ki khatir

ab sir pe tel lagao iske upar chadh jaao

din me taare dikhlaao hum kya hai ise bataao

din me taare dikhlaao hum kya hai ise bataao

barabar bataao, pakdo ari pakdo

ae pakdo pakdo pakdo

aaye pakdo aaye fisal na jaye haay

buddha nikal na jaaye haay

aaye haay uchhal naa jaaye haay, buddha ubal naa jae haay

aaye haay pakdo ae pakdo ae pakdo ae dum daba ke pakdo isko 

dum daba ke pakdo, ae pakdo pakdo pakdo

Explore this song