Roman script

hu bekraar hua tumse pyaar

kahe baar baar jiya

gayi dil main haar nahi iftiyaar

tera intezar kiya tujhko kya khabar

kya hua hai asar kaisa jaadu kar diya

hu bekraar hua tumse pyaar

kahe baar baar jiya

gayi dil main haar nahi iftiyaar

tera intezar kiya

chhu ke jo aaye tere labo ko

sanso mein ghulne lagi hawa

koyi kahani dil ki kahani kahne lagi mahki fiza

bechainiya betaabiya har pal kahe tumse

todo bhi ye khamoshiya kuch to kaho humse

hai tera khumar kho gaya karaar

kaisa bekraar piya mujhe aitbaar

ha tabhi to yaar hai tera shumar piya

tune na jaana rishta anjaana

gujra tu itne kareeb se

baate zaroori fir bhi adhoori

rishte hai kitne ajeeb se

sang tere hoke bhi hum

paa na sake nazdeekiyaan

khwabo mein tum aaye magar

tumse bahut hai duriya

tera hi khyaal kahu dil ka haal

pooche baar baar piya

tu hai bemisaal mujhe yu naa taal

maine dil nisaar kiya tujhko kya khabar

kya hua hai asar kaisa jaadu kar diya

hu bekraar hua tumse pyaar

kahe baar baar jiya

gayi dil main haar nahi iftiyaar

tera intezar kiya

Explore this song