Roman script

hu abhi main jawan aye dil, hu abhi main jawan

behosh hu bin piye, kal ka bhi gam kisliye

hu abhi main jawan

hu abhi main, hu abhi main, hu abhi main jawan

ye nagma aur ye fiza, ye saaz aur ek sada 

jo hai ganimat hai aaj, kal kaun jaane ho kya

ho na ho ye samaan aye dil 

hu abhi main, hu abhi main, hu abhi main jawan

duniya ka kya aitbaar khona na apna qaraar

chun le murado ke phul bite na yu hi bahaar

taak me hai kizaan aye dil 

hu abhi main, hu abhi main, hu abhi main jawan

dekhi hai ye zindagi yu nahi bekhudi 

dekhi hai ye zindagi yu nahi bekhudi 

mujhko behak jaane de baate na kar hosh ki

hosh kaisa yahaan aye dil 

hu abhi main jawan aye dil, hu abhi main jawan

Explore this song