Roman script

tham ke dil baitho yaro meri baari aai 

paanv me payal pahne gori meri khatir aai

tham ke dil baitho yaro meri baari aai 

paanv me payal pahne gori meri khatir aai

chhin ke le jaau gori ko mera hain irada 

dekhte rah jaoge pyare karta hu main wada 

hone do faisla, jeet ka haar ka 

hoy jeet ka haar ka 

aaj hain samana, julm se pyaar ka 

hoy julm se pyaar ka

dilwalo ko milne se, koi rok na paaya 

rup ka premi se rishta, jaise jism aur saya 

dur kar du jism aur saya

hai mujhme ye takat 

raani meri ho jaaye bas, aur na koi chahat 

hone do faisala, jeet ka haar ka 

hoy jeet ka haar ka 

aaj hain samana, julm se pyaar ka 

hoy julm se pyaar ka

aag barabar dono taraf se

jab tak na lag jati 

diya kabhi kya khud jalta hain

tel bina ya bati 

bolo bolo chup kyu ho jawab do 

aag barabar dono taraf se

jab tak na lag jati 

diya kabhi kya khud jalta hain

tel bina ya bati

aag se pyaas nahi bujhti hain

bujhti hain paani se 

nata koi tod na paye

beli ka rani se 

shukriya shukriya yaar ke pyaar ka 

hoy yaar ke pyaar ka 

ho gaya faisla jeet ka haar ka 

hoy jeet ka haar ka 

he he he hoy hoy hoy 

tak dhin dhin ta 

dhin dhin dhin 

apani chahat samandar jaisi

koi thaah na paye 

dilbar ko ab tere bina aur koi na bhaye 

subah ka suraj chadhta jaye

sham ko wo dhal jaye 

pyaar kabhi na ghatat na badhata

koi na dhokha khaye 

chal padii tham ke, hath main yaar ka 

hoy hath main yaar ka 

ho gaya faisala jeet ka haar ka 

hoy jeet ka haar ka 

ho ho ho ho ho 

aa aa aa aa aa aa

Explore this song